Dagh Baiana Husn Ka Na Hua
dagh baiana husn ka na hua
khoTe damon moamla na hua
dil mukaddar raha safa na hua
faiz aaina-ruon ka na hua
kuchh na kaam aae dagh ki buTi
qalb tanba raha tila na hua
dard-mandan-e-KHal kahte hain
goliyan khain faeda na hua
dil KHayalon se paemal raha
sabza-e-rah-guzar hara na hua
aae fasl-e-chaman ki id aae
ghunche chaTke ki shadiyana hua
har kisi zulf mein raha uljha
dam-e-ulfat se dil riha na hua
na khaTakte kisi ke aankhon mein
ye ghubar apna tutiya na hua
mere aage wo baiThe ghair ke pas
pas mera unhen zara na hua
dil ne aise uThae ranj-o-tab
phir mohabbat ka hausla na hua
jab kisi ki nazar paDe ruKH par
KHal-e-mushkin siyah dana hua
dekhi kaifiyyat-e-bahaar-o-KHizan
main do-rangi se aashna na hua
dil shagufta hua na phulon se
koi kanTa girah-kusha na hua
ghar bana kar yahan ye tang aaya
uqda-e-KHatir aashiyana hua
rashk ka hai maal be-rangi
sabza pis kar kabhi hina na hua
'bahr' dil soch kar use dena
KHud-gharaz aashna hua na hua
(897) Peoples Rate This