Buto KHuda Pe Na Rakkho Moamla Dil Ka
buto KHuda pe na rakkho moamla dil ka
bura-bhala yahin ho jae faisla dil ka
buton se hai mutalliq moamla dil ka
KHuda hai hashr mein bhi ho jo faisla dil ka
chalo bala se agar hai ye aastin ka sanp
baghal mein pal ke main kya karun gila dil ka
KHayal-e-zulf mein sine pe sanp loTte hain
dahan-e-mar ka chhaala hai aabla dil ka
sunun tumhaari ki apni kahun haqiqat-e-haal
tumhein hai meri shikayat mujhe gila dil ka
KHuda ye nala-o-fariyaad saz-war kare
ki dil-lagi hai hamari ye mashghala dil ka
bhaTak ke koi gaya dair ko koi kabe
ajib bhul-bhulayyan hai marhala dil ka
main ishq-e-qad mein alif khinch kar hua hun faqir
main zulf-e-yar se rakhta hun silsila dil ka
kisi ke zulf ne barham kiye hain hosh-o-hawas
luTa hai sham ke raste mein qafila dil ka
KHizan-rasidon ko bagh-o-bahaar se kya kaam
na ab wo josh-e-tabiat na walwala dil ka
zamana aur hai aubashiyon ka waqt nahin
na wo mizaj hamara na hausla dil ka
ye kis sanam ki mohabbat mein martaba paya
hua jo arsh-e-KHuda se muqabla dil ka
kamal yar ke hathon jala hun mein ai 'bahr'
hatheli ka hai phaphola ye aabla dil ka
(877) Peoples Rate This