Aisi Koyal Na Papihe Ki Hai Pyari Aawaz
aisi koyal na papihe ki hai pyari aawaz
kya bhali lagti hai kanon ko tumhaari aawaz
jab mujhe tum ne pukara ye dua di main ne
rahe makke mein madine mein tumhaari aawaz
aap ke bol sunae wo hamein kya qudrat
aisi paida to kare koi sitari aawaz
sun ke bismil hue hum naghma-sarai un ki
nahin malum chhuri hai ki kaTari aawaz
be-sure samne us ke rahe tambur-o-sitar
la ke taron ke juari ne sanwari aawaz
is tarah roiye aansu faqat aankhon se bahen
munh se nikle na dam-e-girya-o-zari aawaz
chuTkiyon mein na uDa mujh ko mughanni batla
saz ke parde mein kis ki hai ye pyari aawaz
aise nale kiye hum ne ki gala baiTh gaya
aai aafat wo gale par ki sidhaari aawaz
nach gane mein wo aalam hai jo dekhe wo kahe
sar-basar tum ho pari shoala hai sari aawaz
'bahr' roe ho zarur aaj kisi ke liye tum
surKH surKH aankhen bhi hain aur hai bhaari aawaz
(841) Peoples Rate This