Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_38b632494bab2d7c27a3e7e7b4db4dc6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aazurda Ho Gaya Wo KHaridar Be-sabab - Imdad Ali Bahr Poetry In English - Darsaal

Aazurda Ho Gaya Wo KHaridar Be-sabab

aazurda ho gaya wo KHaridar be-sabab

dil bech kar hua main gunahgar be-sabab

main ne to us se aankh laDai nahin kabhi

abru ne mujh pe khinchi hai talwar be-sabab

main ne balaen bhi nahin lin zulf-e-yar ki

main ho gaya bala-e-giraftar be-sabab

bosa kabhi liya nahin gul se ezar ka

kyun dil ke aable mein chubha KHar be-sabab

kyun uTh khaDe hue wo bhala main ne kya kaha

pahlu mein baiTh kar hue bezar be-sabab

puchhe to koi kya mere taqsir kya gunah

karta hai kyun sitam wo sitamgar be-sabab

ek raat bhi hansa nahin us shama-ru se main

aansu mere gale ke hue haar be-sabab

kis din do-chaar nargisi aankhon se main hua

is ishq ne kiya mujhe bimar be-sabab

jo un ki baat hai wo laDakpan ke sath hai

iqrar be-jahat hai to inkar be-sabab

phaha jagah ki dagh ka shayad sarak gaya

ye chashm-e-tar nahin hai sharar-bar be-sabab

dikhla ki ye bahaar shagufa phulaenge

oDha nahin do-shaala-e-gulnar be-sabab

nikle the mujh par aaj wo talwar bandh kar

rahgir kushta ho gae do-chaar be-sabab

aamad nahin kisi ki to kyun jagte ho 'bahr'

rahta hai shab ko koi bhi bedar be-sabab

(883) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aazurda Ho Gaya Wo KHaridar Be-sabab In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Aazurda Ho Gaya Wo KHaridar Be-sabab is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Aazurda Ho Gaya Wo KHaridar Be-sabab for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Aazurda Ho Gaya Wo KHaridar Be-sabab in PDF.