Aatish-e-bagh Aise BhaDki Hai Ki Jalti Hai Hawa
aatish-e-bagh aise bhaDki hai ki jalti hai hawa
kucha-e-gul se dhuan ho kar nikalti hai hawa
soz-e-wahshat mein dhuen ki shakl kahish hai mujhe
main hawa khata nahin mujh ko nigalti hai hawa
dam agar nikla badan se phir baDi taskin hai
KHak patthar ho ke jamti hai jo Talti hai hawa
giryae-e-ushshaq se kichaD hai aise ja-ba-ja
tham kar diwar-o-dar galiyon mein chalti hai hawa
ja-ba-ja mujh ko liye phirti hai duniya ki hawas
baiTh jata hai bagula jab nikalti hai hawa
gulshan-e-alam ki nairangi se hota hai yaqin
phir shagufa phulta hai phir badalti hai hawa
hain bhi aahen to munh se bahar aata hai jigar
zarre ko rauzan se aksar le nikalti hai hawa
nazuki mein shaKH-e-gul hai sarw-e-baala yar ka
jhonke leta hai jo aahista bhi chalti hai hawa
KHak uDti hi jo us ke panw se gul-gasht mein
phulon ke munh par bajae ghaza malti hai hawa
dekhiye chal kar zara kaifiyyat-e-josh-e-bahaar
jhumte hain peD gir gir kar sambhalti hai hawa
na-rasai dekhna uDta hai jab mera ghubar
yar ke koThe ke kanis se phisalti hai hawa
garmiyon mein sair gulzaron ki bhati hai mujhe
har qadam par pankhiya phulon ki jhalti hai hawa
KHar kahte hain uTha kar ungliyan gul ki taraf
phul jate hain wo kaisa jin ko phalti hai hawa
sarw-e-qirtas-e-muqarriz hun main is gulzar mein
KHak mein pani milata hai masalti hai hawa
'bahr' pankha hath se rakh do nihayat zar hun
mauj-e-dariya ki tarah mujh ko kuchalti hai hawa
(858) Peoples Rate This