Aashna Koi Ba-wafa Na Mila
aashna koi ba-wafa na mila
kashti-e-dil ka naKHuda na mila
ja-e-marham namak chhiDakna tha
zaKHm khane ka kuchh maza na mila
us ke kuche mein aise bhule hum
ghar ke jaane ka rasta na mila
dil diya jis ko ranj hai paya
koi dildar ba-wafa na mila
zindagi talKH ho gai apni
tujh se milne ka kuchh maza na mila
dekh li hum ne dosti teri
hum se ab aankh bewafa na mila
kuchh ijara nahin bane na bane
kya shikayat hai dil mila na mila
aasman par dimagh-e-yar raha
kabhi jhuk kar wo mah-laqa na mila
bosa-e-lab ki tum se kya ummid
ek biDa bhi pan ka na mila
DhunDhti hain kunisht mein ja kar
shaiKH kabe mein to KHuda na mila
ek ek ko pilae do do jam
dard bhi hum ko saqiya na mila
naqal kab asl ki muqabil hai
us ke chehre se aa bana na mila
nazar aai jo wo dahan to kahun
mujh ko anqa ka aashiyana mila
jin ko takiya tha apni masnad par
un ko dekha ki boriya na mila
'bahr' nikle the DhunDhne us ko
aise khoe gae pata na mila
(1225) Peoples Rate This