Kutte
ye mana bahut kaam aate hain kutte
ki choron ko pal mein bhagate hain kutte
nahin rahne dete hain sunsan us ko
mohallon ki zinat baDhate hain kutte
magar un ki KHaslat hai apnon se laDna
ki kutton pe KHud ghurghuraate hain kutte
agar jama ho jaen kutte bahut se
to phir asliyat bhi dikhate hain kutte
jo bore ko laTkae chunta ho kaghaz
to phir jaan ko us ki aate hain kutte
najis aur napak hai jism un ka
jabhi to nahin hum ko bhate hain kutte
wahan par hai tadad un ki ziyaada
jabhi log foreign se late hain kutte
kai aaise fashion ke mare bhi hain ab
ki pahlu mein apne sulate hain kutte
farishton ko aane se wo rokte hain
gharon ki jo zinat banate hain kutte
(829) Peoples Rate This