Chala Aata Hai KHud Anjam Se Anjaan Hai Bakra

chala aata hai KHud anjam se anjaan hai bakra

nahin hargiz nahin kis ne kaha nadan hai bakra

jo sach puchho to is ruKH se wo hum logon se behtar hai

ki apne KHaliq o malik pe KHud qurban hai bakra

haqiqat mein wahi bakra hai achchha dekh kar jis ko

qasai ki uThe farba hai aali-shan hai bakra

bhala tujh tak pahunch sakte hain hum insan ab kyunkar

hamare ghar tu aaya hai tera ehsan hai bakra

qasai ki zarurat hi nahin hai baz bakron ko

chhuri ko dekh kar KHud aap hi qurban hai bakra

dehati log bhi allah-miyan ki gae hain goya

ki bakre par likha hai made-in-japan hai bakra

mere abbu mujhe dilwaiye bakra bahar-surat

meri KHwahish hai qurbani mera arman hai bakra

labaada surKH oDhe taKHt par baiTha hai naKHwat se

ki aala nasl ka hai aur aali-shan hai bakra

laga manDi pahunch kar ashraf-ul-maKHluq hain bakre

hua insan ko mahsus KHud insan hai bakra

(999) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chala Aata Hai KHud Anjam Se Anjaan Hai Bakra In English By Famous Poet Shaheen Iqbal Asar. Chala Aata Hai KHud Anjam Se Anjaan Hai Bakra is written by Shaheen Iqbal Asar. Read famous Poem Chala Aata Hai KHud Anjam Se Anjaan Hai Bakra for youth and Student by Shaheen Iqbal Asar. Free Download Chala Aata Hai KHud Anjam Se Anjaan Hai Bakra in PDF.