Raat-din Lab Pe Na Ho Kyunki Bayan-e-dehli
raat-din lab pe na ho kyunki bayan-e-dehli
na makin ab wo rahe aur na makan-e-dehli
baz maqtul hue bazon ne phansi pai
nam ko bhi na rahe pir-o-jawan-e-dehli
shikwa be-faeda karta hai kisi ka hamdam
tha muqaddar mein likha yun hi ziyan-e-dehli
nahin bazar-e-mohabbat mein KHaridari-e-dil
chhan Dali hai har ek main ne dukan-e-dehli
na wo arbab-e-tarab hain na wo hain ahl-e-nishat
han nazar aate hain kuchh marsiya-KHwan-e-dehli
ghamza tha aafat-e-jaan aur qayamat-qamat
ajab andaz ke the mah-ruKHan-e-dehli
ghis ke sandal ka lagana jinhen dard-e-sar tha
dil pe rakhte hain wo andoh-e-garan-e-dehli
farsh-e-gul pe jo jhijakte the qadam rakhte hue
chalte kanTon pe hain wo nazukanan-e-dehli
ghash pe ghash aate agar dekhte hazrat-yusuf
aise andaz ke the kaj-kulahan-e-dehli
jhuk gaya charKH KHajil ho ke qadam-bosi ko
us ne dekhi thi kabhi rifat-shan-e-dehli
hosh jate rahe tharra gai nar-e-dozaKH
pahunchi aflak pe jab aah-o-fughan-e-dehli
KHak jal-bhun ke to ho jaega charKH-e-bad-bin
nala kar baiThe jo dil-soKHtgan-e-dehli
kuchh ajab naqsha yahan ka nazar aata hai mujhe
kyunki dilli pe kiya jae guman-e-dehli
aur shahron ke karen lakh takalluf lekin
nahin hone ki mayassar ye zaban-e-dehli
hain nae rang nae rup jahan ke 'mehdi'
kaf-e-afsos hai aur lala-ruKHan-e-dehli
(1280) Peoples Rate This