Fareb-e-KHubi-e-nairang Dekhne Ke Liye

fareb-e-KHubi-e-nairang dekhne ke liye

nikal paDa hun tere sang dekhne ke liye

tassubaat ke chehre pe ab hai KHush-haali

lahu ke rang ko be-rang dekhne ke liye

zara shuur ki aankhen to kholiye sahab

kamal-e-zabt ka aahang dekhne ke liye

nigar-KHana-e-fan ke jamal ki saugandh

main aa gaya hun tere Dhang dekhne ke liye

talluqat ka loha to gal chuka hoga

palaT ke aae ho ab zang dekhne ke liye

(1230) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Fareb-e-KHubi-e-nairang Dekhne Ke Liye In English By Famous Poet Sanjay Mishra Shauq. Fareb-e-KHubi-e-nairang Dekhne Ke Liye is written by Sanjay Mishra Shauq. Read famous Poem Fareb-e-KHubi-e-nairang Dekhne Ke Liye for youth and Student by Sanjay Mishra Shauq. Free Download Fareb-e-KHubi-e-nairang Dekhne Ke Liye in PDF.