Zindagi-bhar Nahin Bhulegi Wo Barsat Ki Raat
zindagi-bhar nahin bhulegi wo barsat ki raat
ek anjaan hasina se mulaqat ki raat
hae wo reshmin zulfon se barasta pani
phul se galon pe rukne ko tarasta pani
dil mein tufan uThae hue jazbaat ki raat
zindagi-bhar nahin bhulegi wo barsat ki raat
Dar ke bijli se achanak wo lipaTna us ka
aur phir sharam se bal kha ke simaTna us ka
kabhi dekhi na suni aisi tilismat ki raat
zindagi-bhar nahin bhulegi wo barsat ki raat
surKH aanchal ko daba kar jo nichoDa us ne
dil pe jalta hua ek tera sa chhoDa us ne
aag pani mein lagate hue haalat ki raat
zindagi-bhar nahin bhulegi wo barsat ki raat
mere naghmon mein jo basti hai wo taswir thi wo
naujawani ke hasin KHwab ki tabir thi wo
aasmanon se utar aai thi jo raat ki raat
zindagi-bhar nahin bhulegi wo barsat ki raat
(3327) Peoples Rate This