Ye Duniya Do-rangi Hai
ye duniya do-rangi hai
ek taraf se resham oDhe ek taraf se nangi hai
ek taraf andhi daulat ki pagal aish-parasti
ek taraf jismon ki qimat roTi se bhi sasti
ek taraf hai sonagachi ek taraf chaurangi hai
ye duniya do rangi hai
aadhe munh par nur barasta aadhe munh par chire
aadhe tan par koDh ke dhabbe aadhe tan par hire
aadhe ghar mein KHush-haali hai aadhe ghar mein tangi hai
ye duniya do-rangi hai
mathe upar mukuT sajae sar par Dhoe ganda
daen hath se bhiksha mange baen se de chanda
ek taraf bhanDar chalae ek taraf bhik-mangi hai
ye duniya do-rangi hai
ek sangam par lani hogi dukh aur sukh ki dhaara
nae sire se karna hoga daulat ka baTwara
jab tak unch aur nich hai baqi har surat be-Dhangi hai
ye duniya do-rangi hai
(5662) Peoples Rate This