Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b2dbe08ec3c36863c3702b12334c1d5a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sab Mein Shamil Ho Magar Sab Se Juda Lagti Ho - Sahir Ludhianvi Poetry In English - Darsaal

Sab Mein Shamil Ho Magar Sab Se Juda Lagti Ho

sab mein shamil ho magar sab se juda lagti ho

sirf hum se nahin KHud se bhi juda lagti ho

aankh uThti hai na jhukti hai kisi ki KHatir

sans chaDhti hai na rukti hai kisi ki KHatir

jo kisi dar pe na Thahre wo hawa lagti ho

zulf lahrae to aanchal mein chhupa leti ho

honT tharrae to danton mein daba leti ho

jo kabhi khul ke na barse wo ghaTa lagti ho

jagi jagi nazar aati ho na soi soi

tum jo ho apne KHayalat mein khoi hui

kisi mayus musawwir ki dua lagti ho

(3144) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sab Mein Shamil Ho Magar Sab Se Juda Lagti Ho In English By Famous Poet Sahir Ludhianvi. Sab Mein Shamil Ho Magar Sab Se Juda Lagti Ho is written by Sahir Ludhianvi. Read famous Poem Sab Mein Shamil Ho Magar Sab Se Juda Lagti Ho for youth and Student by Sahir Ludhianvi. Free Download Sab Mein Shamil Ho Magar Sab Se Juda Lagti Ho in PDF.