Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_85411f7c61f305d9072b4ab15d7c5cfa, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Nazar Se Dil Mein Samane Wale Meri Mohabbat Tere Liye Hai - Sahir Ludhianvi Poetry In English - Darsaal

Nazar Se Dil Mein Samane Wale Meri Mohabbat Tere Liye Hai

nazar se dil mein samane wale meri mohabbat tere liye hai

wafa ki duniya mein aane wale wafa ki daulat tere liye hai

khaDi hun main tere raste mein jawan umidon ke phul le kar

mahakti zulfon bahakti nazron ki garm jannat tere liye hai

siwa teri aarzu ke is dil mein koi bhi aarzu nahin hai

har ek jazba har ek dhaDkan har ek hasrat tere liye hai

mere KHayalon ke naram paudon se jhank kar muskurane wale

hazar KHwabon se jo saji hai wo ek haqiqat tere liye hai

(2640) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Se Dil Mein Samane Wale Meri Mohabbat Tere Liye Hai In English By Famous Poet Sahir Ludhianvi. Nazar Se Dil Mein Samane Wale Meri Mohabbat Tere Liye Hai is written by Sahir Ludhianvi. Read famous Poem Nazar Se Dil Mein Samane Wale Meri Mohabbat Tere Liye Hai for youth and Student by Sahir Ludhianvi. Free Download Nazar Se Dil Mein Samane Wale Meri Mohabbat Tere Liye Hai in PDF.