Nahin Kiya To Kar Ke Dekh

nahin kiya to kar ke dekh

tu bhi kisi pe mar ke dekh

husn ke bikhre phulon se

dil ki jholi bhar ke dekh

kaun tujhe kya kahta hai

kyun us ka gham sahta hai

kutte bhunkte rahte hain

qafila chalta rahta hai

kabhi apne man ki kar ke dekh

rahtin rasmen toD bhi de

dil ko akela chhoD bhi de

duniya dil ki dushman hai

duniya ka munh moD bhi de

kuchh to anokha kar ke dekh

ek rasta hai daulat ka

dusra aish-o-ishrat ka

tisra jhuTi izzat ka

chautha sachchi ulfat ka

is raste se guzar ke dekh

(2790) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin Kiya To Kar Ke Dekh In English By Famous Poet Sahir Ludhianvi. Nahin Kiya To Kar Ke Dekh is written by Sahir Ludhianvi. Read famous Poem Nahin Kiya To Kar Ke Dekh for youth and Student by Sahir Ludhianvi. Free Download Nahin Kiya To Kar Ke Dekh in PDF.