Matlab Nikal Gaya Hai To Pahchante Nahin
matlab nikal gaya hai to pahchante nahin
yun ja rahe hain jaise hamein jaante nahin
apni gharaz thi jab tu lipaTna qubul tha
banhon ke daere mein simaTna qubul tha
ab hum mana rahe hain magar mante nahin
hum ne tumhein pasand kiya kya bura kiya
rutba hi kuchh buland kiya kya bura kiya
har ek gali ki KHak to hum chhante nahin
munh pher kar na jao hamare qarib se
milta hai koi chahne wala nasib se
is tarah aashiqon pe kaman tante nahin
(5970) Peoples Rate This