Kabhi Kabhi
kabhi kabhi mere dil mein KHayal aata hai
ki zindagi teri zulfon ki narm chhanw mein
guzarne pati to shadab ho bhi sakti thi
ye tirgi jo meri zist ka muqaddar hai
teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi
ajab na tha ki main begana-e-alam ho kar
tere jamal ki ranaiyon mein kho rahta
tera gudaz-badan teri nim-baz aankhen
inhi hasin fasanon mein mahw ho rahta
pukartin mujhe jab talKHiyan zamane ki
tere labon se halawat ke ghunT pi leta
hayat chiKHti phirti barahna sar aur main
ghaneri zulfon ke sae mein chhup ke ji leta
magar ye ho na saka aur ab ye aalam hai
ki tu nahin tera gham teri justuju bhi nahin
guzar rahi hai kuchh is tarah zindagi jaise
use kisi ke sahaare ki aarzu bhi nahin
zamane bhar ke dukhon ko laga chuka hun gale
guzar raha hun kuchh an-jaani rahguzaron se
muhib sae meri samt baDhte aate hain
hayat o maut ke pur-haul KHarzaron se
na koi jada-e-manzil na raushni ka suragh
bhaTak rahi hai KHalaon mein zindagi meri
inhi KHalaon mein rah jaunga kabhi kho kar
main jaanta hun meri ham-nafas magar yunhi
kabhi kabhi mere dil mein KHayal aata hai
(5099) Peoples Rate This