Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_78cef8ffbc9b72ad973bc81e2f5c21ae, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ab Wo Karam Karen Ki Sitam Main Nashe Mein Hun - Sahir Ludhianvi Poetry In English - Darsaal

Ab Wo Karam Karen Ki Sitam Main Nashe Mein Hun

ab wo karam karen ki sitam main nashe mein hun

mujh ko na koi hosh na gham main nashe mein hun

sine se bojh un ke ghamon ka utar ke

aaya hun aaj apni jawani ko haar ke

kahte hain Dagmagate qadam main nashe mein hun

wo bewafa hai ab bhi ye dil manta nahin

kambaKHt na-samajh hai unhen jaanta nahin

main aaj toD dunga bharam main nashe mein hun

fursat nahin hai rone-rulane ke waste

aae na un ki yaad satane ke waste

is waqt dil mein dard hai kam main nashe mein hun

(2314) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Wo Karam Karen Ki Sitam Main Nashe Mein Hun In English By Famous Poet Sahir Ludhianvi. Ab Wo Karam Karen Ki Sitam Main Nashe Mein Hun is written by Sahir Ludhianvi. Read famous Poem Ab Wo Karam Karen Ki Sitam Main Nashe Mein Hun for youth and Student by Sahir Ludhianvi. Free Download Ab Wo Karam Karen Ki Sitam Main Nashe Mein Hun in PDF.