Sultan AKHtar PaTna Ke Nam
jadid amali tanqid
sultan aKHtar aap jo ghaeb hain aaj-kal
rahmaniya nashinon ki sham-o-sahar hai Dal
jab se qalam ko taj ke sambhaali hai rifle
aalam-e-bewgi mein paDi hai nai ghazal
yaksar udas rahte hain kul intellectual
nazr-e-shikar ho gai un ki chahal-pahal
albatta ek zara si hui thi uthal-puthal
muddat ke baad TuTa tha na ka jumud kal
do naujawan sahn mein is chai-gah ke
baham digar the bahs mein masruf be-KHalal
tha un mein ek chuza qad-o-manhani badan
qamat mein dusra tha shuturmurgh se double
ye bahs thi ki kaun hai in mein jadid-tar
donon mein kis ki hoti hai tahrir mubtazal
donon mein kaun kis se ziyaada hai be-tuka
kahta hai kaun kis se zaTal khurduri ghazal
in mein jo manhani tha wo bola ba-sad ghurur
sun lo ki main hun tum se baDa intellectual
meri kahaniyon mein maqul ka rang hai
mafluj jin ke samne hai fahm ka amal
tarsil-e-na-rasa ki sanad mere pas hai
mujh ko sarahta hai mujahid miyan ka dil
ye lan-taraniyan na huin dusre se hazm
honT is ke kanpne lage aaya jabin pe bal
chiKHa wo aa ke taish main teri bisat kya
to aur jadidiyat mein bane mera riwal
likhta hun aise aise makatib be-tuke
kolhu ka bail bhi mera chela hai aaj-kal
islah di kalam pe KHud tere barha
mani se lafz lafz se mani diye badal
in sab ke bawajud akaDta hai mujh se tu
kya dafatan dimagh mein aaya tere KHalal
ab manhani adib ko bhi aa gaya jalal
kahne laga ki zarf se apne na yun ubal
imla durust hai na talaffuz tera durust
tahrir ho kalam ho har chiz hai zaTal
islah dega KHak wo mere kalam par
jo naql ko naqal kahe aur asl ko asal
ye baat dusre ko lagi saKHt nagawar
aur wo chala ke hath ye bola ki le sambhal
phir to ewaz zaban ke hathon ke bol se
us ne shurua kar diya tanqid ka amal
baad us ke donon guth gae ek dusre ke sath
rahmaniya ke sahn mein hone laga Dual
kamzor dekhne hi mein tha manhani jawan
jhapTa daraaz-qad pe jo pahlu badal badal
yara mudafat ka na baqi raha use
do Thokaron mein gir paDa be-chaara munh ke bal
chite ki tarah jast laga kar harif par
zaea kiye baghair koi lamha koi pal
pursht-e-daraaz-qad pe wo jhaT ho gaya sawar
aur us ke sare jism ko karne laga kharal
ek bhiD jama ho gai donon ke ird-gard
paida hua na un ke amal mein magar KHalal
dekha tamam logon ne ek lutf-e-KHas se
izhaar-e-zat ka wo tamasha-e-be-badal
jab donon thak ke chur hue KHud hi haT gae
chehra kisi ka surKH tha bazu kisi ka shal
is waqiye ko sun ke karen aap faisla
un mein tha kaun kis se baDa intellectual
(4323) Peoples Rate This