KHwab
kitne KHubsurat hote hain na
aur thoDe sar-phire bhi
ye chalna nahin chahte
bas uDna chahte hain
bharna chahte hain
ek aisi uDan
jahan zamin ki haqiqat ho
aur aasman ke par ki kalpana bhi
jahan waqt sa Thaharna ho
aur KHushbu sa bikharna bhi
ye sajna chahte hain
sanwarna chahte hain
KHud mein bharte hain rang
le kar titliyon se udhaar
chamak uThte hain
KHud ko chandni se sanwar
Tankte hain kuchh ujle sitare bhi
phir takte hain aaenge din hamare bhi
dekhte hain har nazar mein hazaron sawal
kahte hain KHud se na Dar tu sambhaal
din mein sajte hain shauq se
KHwahish ke bazaron mein
raaton mein bahte hain KHauf se
ashkon ke dhaaron mein
bahut KHush-nasib hoti hai wo aankhen
jin mein KHwab rahte hain
hain mukammal wo ashk bhi
jin mein KHwab bahte hain
(1251) Peoples Rate This