Masiha
tajrabe garche ye batate hain
waqt be-rahm ek sipahi hai
jis ka mazbut o aahani panja
dil ka aaina toD deta hai
dasht-e-hasti mein aabla-pa ko
hama-dam rah-e-gham dikhata hai
nau-ba-nau intishaar lata hai
zindagi ko dukhi banata hai
lekin ai ham-safar Thahar to sahi
tajrabe ye bhi to batate hain
waqt ek narm-dil masiha hai
jis ke nazuk hasin phul se hath
TuTe aaine joD dete hain
jama-e-tan ke chaak sete hain
ungliyan zaKHm-e-dil pe rakhte hain
ashk aankhon se ponchh dete hain
(646) Peoples Rate This