Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4adee1799f4295b3017161674cf0d31a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bhuki Nasl Ka Tarana - Owais Ahmad Dauran Poetry In English - Darsaal

Bhuki Nasl Ka Tarana

main bhuki nasl hun

mere malul o muzmahil chehra pe

ThanDi chandni ka aks mat DhunDo

mera be-rang-o-bu chehra

jami hai an-ginat faqon ki jis par dhul barson se

zamin ke chand firaunon ko apni KHashmagin nazron se takta hai

mere ajdad bhi

meri tarah bhuke the lekin mujh mein aur un mein

zamin-o-asman ka farq hai shayad

wo apni bhuk ko taqdir ka likkha samajhte the

qanaat un ka takiya tha

tawakkul un ka shewa tha

magar main aisi har jhuTi tasalli ka muKHalif hun

muqaddar ke andheron mein nahin

mera yaqin hai raushni-e-subh-e-farda mein

main bhuki nasl hun

mere labon par nala-o-fariyaad ki lai ke ewaz

ek aag hai

tewar mein ghussa hai

ye wo ghussa hai jis se

mera dushman thartharaata hai

(631) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhuki Nasl Ka Tarana In English By Famous Poet Owais Ahmad Dauran. Bhuki Nasl Ka Tarana is written by Owais Ahmad Dauran. Read famous Poem Bhuki Nasl Ka Tarana for youth and Student by Owais Ahmad Dauran. Free Download Bhuki Nasl Ka Tarana in PDF.