In Jhilmilate Chand Sitaron Ki Chhanw Mein
in jhilmilate chand sitaron ki chhanw mein
dhime suron mein gae jo babul to hum sunen
aangan mein tere phul rahi hogi kaamani!
ji chahta hai aaj basera wahin karen
ye chand aaj uga hai baDi aarzu ke baad
aao mai-e-nashat piyen gham ghalat karen
apni suhag-raat kabhi bhultin nahin
mere hasin dayar ki sharmili aurten
rang-e-hina se surKH rahin un ki ungliyan
ai kash sari umr wo dulhan bani rahen
pyare hain aaj hum bhi bahut der se niDhaal
tum bhi thake hue ho chalo aao so rahen
jaane hai kaun mahw-e-safar aadhi raat ko
jaane ye kis ki dur se aati hain aahaTen
hum ko bula liya karo baaten kiya karo
dil mein tumhaare dard ke tufan jab uThen
uftadgan-e-rah ke dil par lagegi choT
manzil pe ja ke qafile aawaz yun na den
tum ne tamam bagh ko viran kar diya
indhan ke tajiro ye papihe kahan rahen
har marhala pe 'dauran' hamein un ki ho talash
har manzil-e-hayat pe un ka hi nam len
(713) Peoples Rate This