Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_50fe475bbe7f05338134c852f9762b13, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ghamgin Hain Dil-figar Hain Mere Yahan Ke Log - Owais Ahmad Dauran Poetry In English - Darsaal

Ghamgin Hain Dil-figar Hain Mere Yahan Ke Log

ghamgin hain dil-figar hain mere yahan ke log

daman-e-tar-tar hain mere yahan ke log

paida kiya hai jhuTe masihaon ne jise

us dard ke shikar hain mere yahan ke log

kya jaaniye hain kab se jigar soKHta magar

insan ke gham-gusar hain mere yahan ke log

gardan agarche KHam hai itaat ke bojh se

lekin harif-e-dar hain mere yahan ke log

'dauran' inhi ke zaKHm se phuTegi raushni

mana ki sogwar hain mere yahan ke log

(629) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghamgin Hain Dil-figar Hain Mere Yahan Ke Log In English By Famous Poet Owais Ahmad Dauran. Ghamgin Hain Dil-figar Hain Mere Yahan Ke Log is written by Owais Ahmad Dauran. Read famous Poem Ghamgin Hain Dil-figar Hain Mere Yahan Ke Log for youth and Student by Owais Ahmad Dauran. Free Download Ghamgin Hain Dil-figar Hain Mere Yahan Ke Log in PDF.