Chup Rahoge To Zamana Is Se Bad-tar Aaega
chup rahoge to zamana is se bad-tar aaega
aane wala din liye hathon mein KHanjar aaega
wo lahu pi kar baDe andaz se kahta hai ye
gham ka har tufan us ke ghar ke bahar aaega
kya tamasha hai Dare sahme hue hain sare log
kya meri basti mein koi zalim afsar aaega
lauT kar pichhe kabhi jati nahin raftar-e-waqt
zindagi ko ab miTane kaun KHud-sar aaega
main hun us bazm-e-hasin ka muddaton se muntazir
sab ke hathon mein jahan labrez saghar aaega
tum isi wadi mein Thahro intizar us ka karo
wo tumhaare pas ek paigham le kar aaega
kucha kucha se uThegi gham-zadon ki ek lahr
qarya qarya se bahi-KHwahon ka lashkar aaega
hath mein mishal liye har samt pahre par raho
raat ki chadar lapeTe hamla-awar aaega
dekh ai sayyah mere des ki ujDi bahaar
is se baDh kar bhi koi ghamgin manzar aaega
meri surKHi-e-tasawwur se hain kyun naraaz aap
kya hara peD aap tak bhi phul le kar aaega
Dhal chali 'dauran' jawani ki chamakti dopahar
ab bhala pahlu mein mere kaun dilbar aaega
(889) Peoples Rate This