Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1b53fb3ab2fe0c688854006910e17bf5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Manzar Ka Ehsan Utara Ja Sakta Hai - Osama Zakir Poetry In English - Darsaal

Manzar Ka Ehsan Utara Ja Sakta Hai

manzar ka ehsan utara ja sakta hai

aankh ko yara bhuka mara ja sakta hai

aangan aangan aag ugai ja sakti hai

kamron mein dariya ka kinara ja sakta hai

kirchi kirchi KHwab chamakta hai aankhon mein

un se ab duniya ko sanwara ja sakta hai

bundon mein aaine ghole ja sakte hain

chadar-e-tan mein safar guzara ja sakta hai

jism-o-dil ki Than jaane par yaad rakho

jism ko jito dil to haara ja sakta hai

jis basti ke rashan ghar mein KHun banTe

wahan faqat lashon ko sanwara ja sakta hai

jis aangan ki sanwaliyan roTi jiten

us ke tawe par chand utara ja sakta hai

aatish-dan ka sina ThanDa ho sakta hai

barf ka TukDa ban ke sharara ja sakta hai

(754) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Manzar Ka Ehsan Utara Ja Sakta Hai In English By Famous Poet Osama Zakir. Manzar Ka Ehsan Utara Ja Sakta Hai is written by Osama Zakir. Read famous Poem Manzar Ka Ehsan Utara Ja Sakta Hai for youth and Student by Osama Zakir. Free Download Manzar Ka Ehsan Utara Ja Sakta Hai in PDF.