Zamin Pe BaiTh Ke Be-iKHtiyar DhunDhta Hun
zamin pe baiTh ke be-iKHtiyar DhunDhta hun
main aasman ka gard-o-ghubar DhunDhta hun
mujhe pata hai kisi mein ye shai nahin maujud
har ek shaKHs mein kyun e'tibar DhunDhta hun
akela baiTh ke masjid ke ek kone mein
kamal karta hun parwardigar DhunDhta hun
ki aaine mein kai aaine kiye taKHliq
so ek chehre mein chehre hazar DhunDhta hun
tumhaari yaad to rakkhi hai jeb mein main ne
ye kyun idhar se udhar bar bar DhunDhta hun
main aise aalam-e-wahshat mein hun ki tanhai
pukarti hai mujhe main pukar DhunDhta hun
mere liye to KHat-e-intizar khinchti hai
tere liye main KHat-e-intizar DhunDhta hun
(738) Peoples Rate This