Pari Ke Aane Ke Imkan Bante Jate Hain

pari ke aane ke imkan bante jate hain

ye dasht sare gulistan bante jate hain

ajab hawas hai mohalle mein taKHt jitne ki

ye log hain ki sulaiman bante jate hain

main in ko dekh ke chahun ke wo gale lag jaen

wo mujh ko dekh ke anjaan bante jate hain

wo jitne soch ke mushkil sawal karta hai

jawab utne hi aasan bante jate hain

unhen main sher ki surat kabhi ugal dunga

jo dil mein dard ke tufan bante jate hain

ajib kuza-gari se dimagh juD gaya hai

gulab soch lun gul-dan bante jate hain

kisi faqir ke hujre mein baiThne ke baad

jo aadmi hain wo insan bante jate hain

(789) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pari Ke Aane Ke Imkan Bante Jate Hain In English By Famous Poet Osaama Ameer. Pari Ke Aane Ke Imkan Bante Jate Hain is written by Osaama Ameer. Read famous Poem Pari Ke Aane Ke Imkan Bante Jate Hain for youth and Student by Osaama Ameer. Free Download Pari Ke Aane Ke Imkan Bante Jate Hain in PDF.