Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4581192d7c8d0e02859db36e906d1f49, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kitne Asrar Wahime Mein Hain - Osaama Ameer Poetry In English - Darsaal

Kitne Asrar Wahime Mein Hain

kitne asrar wahime mein hain

hum ki masruf khojne mein hain

ham-safar la-makan ko pahuncha

aur hum pahle marhale mein hain

to abhi tak dikha nahin hai hamein

hum abhi tak muraqabe mein hain

ye jo khiDki ke par manzar hai

masala us ko dekhne mein hain

apni apni hi fikr hai sab ko

apne apne hi daere mein hain

waiza intizar kar thoDa

shaiKH-sahib to mai-kade mein hain

ye KHirad ko shikast denge miyan

ye to majnun ke qafile mein hain

bhed jitne hain kaenat andar

ek nuqte ke silsile mein hain

(689) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kitne Asrar Wahime Mein Hain In English By Famous Poet Osaama Ameer. Kitne Asrar Wahime Mein Hain is written by Osaama Ameer. Read famous Poem Kitne Asrar Wahime Mein Hain for youth and Student by Osaama Ameer. Free Download Kitne Asrar Wahime Mein Hain in PDF.