Kabhi Kabhi Main Unhen Dil Mein Aan Rakhta Hun
kabhi kabhi main unhen dil mein aan rakhta hun
phir ek KHwab mein donon jahan rakhta hun
jab aasman sabhi ke saron pe qaem hai
to kis ke waste main saeban karta hun
main lafz-o-mani badalte hue sar-e-qirtas
palaT ke phir wahi nauha bayan rakhta hun
azal se ek hi nuqsan kha raha hai mujhe
azal se KHud ko faqat raegan rakhta hun
sada-e-kun pe bina aadmi ki rakkhi gai
is ek saut pe main apne kan rakhta hun
ajib ramz hai qirtas aur lakir ke beach
zamin khinchta hun aasman rakhta hun
purana aks naya aks ban ke ubhrega
main aaine ke muqabil guman rakhta hun
wo mere waste kya kya sambhaale rakhta hai
main us ke waste kis kis ka dhyan rakhta hun
(656) Peoples Rate This