Jab Raushni Chamki To UThaya Sar-e-sahil
jab raushni chamki to uThaya sar-e-sahil
miTTi ke pyale mein tha sona sar-e-sahil
pani pe makan jaise makin aur kahin gham
kuchh aise nazar aai thi duniya sar-e-sahil
jab tai ho mulaqat us aashufta-sari se
tum aur hi kuchh rang pahanna sar-e-sahil
kashti mein nazar aai thi jannat ki tajalli
patwar uThate hi main bhaga sar sahil
ab qaum utare koi sine pe hamare
pahle to utara tha sahifa sar-e-sahil
main hath baDhata to bhala kaise baDhata
taswir mein the saghar-o-mina sar-e-sahil
hum log karachi ke ajab log hain sahab
khana hai samundar mein to pina sar-e-sahil
(700) Peoples Rate This