Koi Rutba To Koi Nam-nasab Puchhta Hai
koi rutba to koi nam-nasab puchhta hai
ab jahan mein koi kirdar ka kab puchhta hai
tu ne kis darja nibhaya hai parastish ka nizam
chahe puchhe na kabhi koi wo rab puchhta hai
chhin leta hai wo pahle meri KHushiyon ki wajh
aur phir mujh se mere gham ka sabab puchhta hai
siskiyan ghol ke ashkon ko nigalne ka hunar
mano mat mano har ek jashn-e-tarab puchhta hai
wo jawabon mein bhale de na sake koi jawab
par sawalon pe sawalat ghazab puchhta hai
sari duniya ki sunata hai mujhe mere siwa
aur phir haal mera chhoD ke sab puchhta hai
hun wo lachaar sitam jis ko duaen DhunDen
hun wo bimar maraz jis ko matab puchhta hai
puchh leta hai dil-o-zehn ki sari baaten
puchhne wali magar baat wo kab puchhta hai
pas-e-ghairat hai na 'nayab' ana ka hai lihaz
chal nikalta hun mera nam wo jab puchhta hai
(3592) Peoples Rate This