Teri Nazron Se Yar Utar Jaun
teri nazron se yar utar jaun
is se behtar ye hai ki mar jaun
main bhi ab kya karun ai mere raqib
meri fitrat nahin ki Dar jaun
gar tu dastar mang le mujh se
tere qadmon mein de ke sar jaun
phir koi aur hi banun aaKHir
TuT jaun to is qadar jaun
tu bhi be-shak nazar ghuma lena
main agar pher kar nazar jaun
tu mujhe chhoD kar nahin jaana
main tujhe chhoD kar agar jaun
upar upar to par ja na saka
sochta hun bhanwar bhanwar jaun
hath KHali hain chashm tar hai meri
ab tu hi bol kaise ghar jaun
yun moattar karun faza 'nayab'
KHushbuon ki tarah bikhar jaun
(1692) Peoples Rate This