Nur Andhere Ki Fasilon Pe Saja Deta Hun
nur andhere ki fasilon pe saja deta hun
main siyah-baKHt charaghon ko jala deta hun
pahle ek jism banata hun kisi phul pe phir
ek chehra kisi patthar pe bana deta hun
din nikalte hi kise DhunDne jata hun main
raat ke pichhle pahar kis ko sada deta hun
ek arse se gham-e-hijr mein masruf hai tu
aa mere dil mein tujhe kaam naya deta hun
mujh sa sade bhi koi hoga zamane mein ki main
apne qatil ko bhi umron ki dua deta hun
bahte dariya ka badan Dhank ke KHushk aankhon se
mom ke qalb ko patthar ki qaba deta hun
mustaqil rah-e-suKHan ka hun musafir 'nayab'
gar thakan likh dun waraq par to miTa deta hun
(1542) Peoples Rate This