Baat Bah Jaane Ki Sun Kar Ashk Barham Ho Gae
baat bah jaane ki sun kar ashk barham ho gae
ek zara koshish bhi ki to aur pur-nam ho gae
ye hua mamul ki manus-e-gham dil ho gaya
hum samajh baiThe hamare dard kuchh kam ho gae
kaifiyat izhaar-e-soz-e-dil ki kuchh aisi hui
aate aate lab talak alfaz mubham ho gae
waqt ki chaaragari bhi dekhiye kya KHub hai
gham dawa mein Dhal gaya aur zaKHm mahram ho gae
gardishon ke abr ki ek bund tan par kya giri
kal jo the shoala-sifat wo aaj shabnam ho gae
the hamare KHun ke qatre KHak ki surat KHuda
tere naqsh-e-pa ko chhu kar aab-e-zamzam ho gae
dushmani baDhne ka yun 'nayab' gham hum ko nahin
han magar afsos ye hai dost kuchh kam ho gae
(1472) Peoples Rate This