Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_abeb06ae2ce4211eb3002f796fb67dfd, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bahaar Ban Ke Jab Se Wo Mere Jahan Pe Chhae Hain - Nihal Rizvi Poetry In English - Darsaal

Bahaar Ban Ke Jab Se Wo Mere Jahan Pe Chhae Hain

bahaar ban ke jab se wo mere jahan pe chhae hain

tajalliyon ki chandni hai maktabon ke sae hain

Thahar Thahar ke KHush-gawar inqalab aae hain

sambhal sambhal ke wo mere junun pe muskurae hain

hazar ehtiyat ki hai lakh gham chhupae hain

magar taDap uTha hai dil wo jab bhi yaad aae hain

samajh samajh ke barha ye ban pare ki baat hai

fareb in ki mehrbaniyon ke hum ne khae hain

sahar sahar mahak uThi chaman chaman sanwar gaya

bahaar muskurai hai ki aap muskurae hain

jo dil saja chuke the KHud-parastiyon ki anjuman

hum un mein jazba-e-gham-e-jahan ubhaar aae hain

naqab ruKH se jab uThi bikhar gain tajalliyan

latif bijliyan giri hain jab wo muskurae hain

dayar-e-tegh-o-dar ke jamal ko nikhaar ke

hum apne KHun se maqtal-e-wafa sanwar aae hain

kabhi libas-e-nazm mein kabhi ghazal ke rup mein

jo waqt ki pukar the wo git hum ne gae hain

'nihaal' kaenat mein hamein to ye yaqin hai

ab aadmi nahin raha hai aadmi ke sae hain

(1277) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahaar Ban Ke Jab Se Wo Mere Jahan Pe Chhae Hain In English By Famous Poet Nihal Rizvi. Bahaar Ban Ke Jab Se Wo Mere Jahan Pe Chhae Hain is written by Nihal Rizvi. Read famous Poem Bahaar Ban Ke Jab Se Wo Mere Jahan Pe Chhae Hain for youth and Student by Nihal Rizvi. Free Download Bahaar Ban Ke Jab Se Wo Mere Jahan Pe Chhae Hain in PDF.