Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_35cfae12150f95cb4f753b309cba6d3a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Mahw-e-tamasha-e-lab-e-baam Nahin Hai - Nazar Hyderabadi Poetry In English - Darsaal

Dil Mahw-e-tamasha-e-lab-e-baam Nahin Hai

dil mahw-e-tamasha-e-lab-e-baam nahin hai

paigham ba-andaz-e-paigham nahin hai

ai jaan-e-giran sair tera rahbar-o-rahzan

hai kaun agar waqt-e-subuk-e-gam nahin hai

jo tere dayar-e-ruKH-o-kakul mein na guzre

wo subh nahin hai wo meri sham nahin hai

is pursish-e-haalat ke andaz ke qurban

kis tarah kahun main mujhe aaram nahin hai

kya baat hai ai talKHi-e-azar-e-mohabbat

fihrist-e-shahidan mein mera nam nahin hai

mai-KHane mein aur shorish-e-ayyam dar aae

afsos ki hathon mein mere jam nahin hai

aksar lab-e-shair se jo sunta hai zamana

wo zist ki aawaz hai ilham nahin hai

ai mast-e-mai-shauq sambhaal apne subu ko

duniya hai ye KHum-KHana-e-KHayyam nahin hai

ek turfa tamasha hai 'nazar' teri tabiat

shair bhi hai aur shahr mein badnam nahin hai

(1736) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Mahw-e-tamasha-e-lab-e-baam Nahin Hai In English By Famous Poet Nazar Hyderabadi. Dil Mahw-e-tamasha-e-lab-e-baam Nahin Hai is written by Nazar Hyderabadi. Read famous Poem Dil Mahw-e-tamasha-e-lab-e-baam Nahin Hai for youth and Student by Nazar Hyderabadi. Free Download Dil Mahw-e-tamasha-e-lab-e-baam Nahin Hai in PDF.