Nazar Se Chhup Gae Dil Se Juda To Hona Tha
nazar se chhup gae dil se juda to hona tha
is ehtimam se tum ko KHafa to hona tha
wafa KHud apne muqabil hui mohabbat mein
tere sitam ki koi intiha to hona tha
kahan pahunch ke ruke aap bewafai se
lihaz meri wafa ka zara to hona tha
sanwar ke aaina dekha to hans ke farmaya
wo samne hain magar samna to hona tha
agar idhar se wo guzre hain be-KHayali mein
qarib-e-dil koi aawaz-e-pa to hona tha
wo le gae hain agar bu-e-gul ko sath 'shajia'
kam-az-kam aaj chaman mein saba to hona tha
(1572) Peoples Rate This