Izhaar-e-haal Sun Ke Hamara Kabhi Kabhi
izhaar-e-haal sun ke hamara kabhi kabhi
wo bhi hue hain anjuman-ara kabhi kabhi
main aur arz-e-shauq meri kya majal hai
hota hai us taraf se ishaara kabhi kabhi
rah-e-talab mein aur koi rahnuma nahin
deti hain laghzishen hi sahaara kabhi kabhi
sunta hun mujh se chhuT ke nahin wo bhi mutmain
nazron ko DhunDhta hai nazara kabhi kabhi
aaya shab-e-firaq wo hangam-e-be-kasi
KHud apna nam le ke pukara kabhi kabhi
sach hai ki rahaten hi nahin husn-e-zindagi
gham ne bhi zindagi ko sanwara kabhi kabhi
yun tai hue 'shajia' mohabbat ke raste
baDh baDh ke manzilon ne pukara kabhi kabhi
(1407) Peoples Rate This