Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_231c1e5826a87a541ace50c398fa97ea, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
GhaTaen Chhai Hain Saghar UTha Le Jis Ka Ji Chahe - Nawab Moazzam Jah Shaji Poetry In English - Darsaal

GhaTaen Chhai Hain Saghar UTha Le Jis Ka Ji Chahe

ghaTaen chhai hain saghar uTha le jis ka ji chahe

ye mai-KHana hai qismat aazma le jis ka ji chahe

mohabbat karne walon ka jahan mein kaun hota hai

koi apna nahin hum ko sata le jis ka ji chahe

gham-e-dauran se bachna zindagi mein ghair-mumkin hai

gham-e-jaanan ko sine se laga le jis ka ji chahe

kise milti hai fursat umr-bhar aansu bahane se

kali ki tarah dam-bhar muskura le jis ka ji chahe

'shajia' is zindagi mein hum talabgar-e-mohabbat hain

mohabbat se hamein apna bana le jis ka ji chahe

(1204) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

GhaTaen Chhai Hain Saghar UTha Le Jis Ka Ji Chahe In English By Famous Poet Nawab Moazzam Jah Shaji. GhaTaen Chhai Hain Saghar UTha Le Jis Ka Ji Chahe is written by Nawab Moazzam Jah Shaji. Read famous Poem GhaTaen Chhai Hain Saghar UTha Le Jis Ka Ji Chahe for youth and Student by Nawab Moazzam Jah Shaji. Free Download GhaTaen Chhai Hain Saghar UTha Le Jis Ka Ji Chahe in PDF.