Ahinsa Ki Pahli Sunahri Kiran
KHiraman KHiraman chali aa rahi hai
nigahon pe ek husn se chha rahi hai
har ek gam par nur bikhra rahi hai
ufuq par wo parcham ko lahra rahi hai
ahinsa ki pahli sunahri kiran
mili kimiya-gar ko aaKHir wo buTi
ki jis se alaeq ki zanjir TuTi
shab-e-tar mein jaise mahtab chhuTi
tajalli ke parde se phuTi wo phuTi
ahinsa ki pahli sunahri kiran
naya rup hasti ne paida kiya hai
har ek dil mein ek walwala bhar raha hai
musibat ka ehsas himmat-faza hai
ki arbab-e-binish ki ab rahnuma hai
ahinsa ki pahli sunahri kiran
zamin-o-zaman ham-nawa ho rahe hain
ki dil wale tuKHm-e-wafa bo rahe hain
wahi pa rahe hain jo kuchh kho rahe hain
jagaegi un ko bhi jo so rahe hain
ahinsa ki pahli sunahri kiran
(1064) Peoples Rate This