Lazzat-e-hijr Ne TaDpaya Bahut Ruswa Kiya

lazzat-e-hijr ne taDpaya bahut ruswa kiya

toD kar phenka mere zabt ko gum-gashta kiya

aankh se TuT ke barsa mere KHwabon ka lahu

dil ki dahliz pe tanhai ne jab sajda kiya

main wahan rah gaya dekha mujhe logon ne yahan

hae taqsim mujhe ishq ne ye kaisa kiya

aagahi baKHsh ke tartib diya pahle mujhe

ishq ne ruh ko is jism se phir chalta kiya

KHamushi ko na samajh le wo kahin meri shikast

hashr ji-jaan mein jaan-lewa sa KHud barpa kiya

KHud se laDte hue le aaya hun main KHud ko wahan

mere sae ne juda mujh se jahan rasta kiya

ho na jaun kahin gum-gashta na miT jaun kahin

be-sabab dil ki tabahi ka miyan charcha kiya

KHauf tha dasht utar jae na mujh mein tab hi

chashm-e-tishna ka makin bahta hua dariya kiya

KHud se bichhDa to khula raaz ye dil par mere

apni pahchan ho qismat ne mujhe tanha kiya

dil pe kya mauj-e-'nasimi' ne mere bosa dhara-

dil ki wahshat pe takallum ne mere qabza kiya

(1789) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lazzat-e-hijr Ne TaDpaya Bahut Ruswa Kiya In English By Famous Poet Naseem Shekh. Lazzat-e-hijr Ne TaDpaya Bahut Ruswa Kiya is written by Naseem Shekh. Read famous Poem Lazzat-e-hijr Ne TaDpaya Bahut Ruswa Kiya for youth and Student by Naseem Shekh. Free Download Lazzat-e-hijr Ne TaDpaya Bahut Ruswa Kiya in PDF.