Ek Hai Phir Bhi Hai KHuda Sab Ka
ek hai phir bhi hai KHuda sab ka
is ka us ka mera tera sab ka
husn-e-mastur ko ayan kar de
ek ho jae muddaa sab ka
jurm-e-dil ki saza mili mujh ko
main ne paya liya diya sab ka
naza mein de gae jawab hawas
eatibar aaj uTh gaya sab ka
ek begana-KHu ko dil de kar
main gunahgar ho gaya sab ka
main kisi ka nahin siwa jis ke
hae wo hai mere siwa sab ka
aisi kya ho gai KHata mujh se
mujh pe hai jaur-e-na-rawa sab ka
sab ko chhoDa hai main ne jis ke liye
wo sitamgar hai aashna sab ka
ek manzil hai ai 'nasim' magar
jada-e-shauq hai juda sab ka
(1278) Peoples Rate This