Ishq Ko Aankh Mein Jalte Dekha
ishq ko aankh mein jalte dekha
phul ko aag mein khilte dekha
ishq ke raaz na puchho sahab
ishq ko dar pe chaDhte dekha
ishq ke dam bhi lag jate hain
misr mein us ko bikte dekha
ishq hai wajib us ko hum ne
jism aur jaan mein utarte dekha
us ko hawas ka nam na dena
lauh pe us ko likhte dekha
arsh bhi hairat se takta tha
dasht mein us ko palte dekha
ishq anokha manzar jis mein
raaz ko KHwab mein Dhalte dekha
hijr ka zaKHm to zaKHm hai aisa
baKHiya-garon se bhi khulte dekha
ishq wo bagh hai jis ko hum ne
hijr ki rut mein mahakte dekha
gham kya hijr aur visal ka us ko
ishq mein jis ko bhaTakte dekha
(1837) Peoples Rate This