Ek To Ishq Ki Taqsir Kiye Jata Hun
ek to ishq ki taqsir kiye jata hun
us pe main pairwi-e-'mir' kiye jata hun
mazarat ghar ke charaghon se karunga kaise
main jo taKHir pe taKHir kiye jata hun
yani taswir-e-zaman par hai tasarruf itna
dekhta jata hun tahrir kiye jata hun
baghban tujh se to main dad-talab hun bhi nahin
peD sunte hain main taqrir kiye jata hun
ye ilaqa na ho dariya ki amal-dari mein
main jahan naw ko zanjir kiye jata hun
aaKHirash KHak uDa kar sar-e-rahe dil ki
ek duniya ko main dil-gir kiye jata hun
us ki buniyaad mein ek KHam-e-KHayali hai 'naim'
shahr jo KHwab mein tamir kiye jata hun
(1383) Peoples Rate This