Hijrat
tum hijrat ka karb nahin jaante
tum ne 'intizar-husain' ke afsane nahin paDhe
'nasir'-kazmi' ke ashaar mein chhupe hue nauhe nahin sune
jo hindostan ko bante dekha hota
gharon ko jalte dekha hota
ismaten luTti gardanen kaTti
zindagi bikharti dekhi hoti
to shayad tum hijrat ka karb jaan lete
fast-food ke shauqin
apne haal mein gum
tumhaara koi mazhab koi nazriya nahin hai
peT ki bhuk se jins ki aasudgi tak
haiwani fitrat
is hijrat ke dard ko kaise mahsus kar sakti hai
(2025) Peoples Rate This