Idi Kaise BaDhai Jae
bachchon ne id par jab nare bahut lagae
man bap ne bhi apne dukhDe unhen sunae
bachcho tumhaari idi kaise baDhai jae
tum KHud hi kah rahe ho mahngai baDh gai hai
aam aadmi bechaara kya khae kya bachae
bachcho tumhaari idi kaise baDhai jae
patlun ki silai pachchanwe rupae di
urfi ke boot saDhe-chhai-sau rupe mein aae
bachcho tumhaari idi kaise baDhai jae
be-mel suiT ho to ban jae munh zaman ka
sasti agar ho Topi faizan bhinbhinae
bachcho tumhaari idi kaise baDhai jae
bachpan mein khelte the miTTi ke hum khilaune
bijli se chalne wale guDDe tumhein dilae
bachcho tumhaari idi kaise baDhai jae
jaez nahin taqaza lalach buri bala hai
nare laga ke tum ne ghar bhar pe zulm Dhae
bachcho tumhaari idi kaise baDhai jae
tum ne to apne dil ki ammi se kah sunai
abba ke dil se puchho bipta kise sunae
bachcho tumhaari idi kaise baDhai jae
ye baat bhi girah mein paison ke sath bandho
sachchi KHushi wahi hai jo muft hath aae
bachcho tumhaari idi kaise baDhai jae
achchha hamein siwayyan mil-jul ke tum khilao
hum ne tumhaare paise is id se baDhae
bachcho tumhaari idi kaise baDhai jae
(917) Peoples Rate This