Qarya-e-viran
jhulse peD jali aabaadi kheti sukhi KHirman rakh
hast-o-bud ka madfan rakh
girte baam-o-dar ke liye galiyon ka aaghosh
jaise ye diwaron ko the kab se wabaal-e-dosh
bar haTa to aaya hosh
panghaT aur chaupal bhi sune rahen bhi sunsan
galiyan aur kuche viran
jhonke sukhe patte rolen bikhri rakh uDain
rakh aur patte ban ke bagule apna nach dikhaen
aur wahin rah jaen
ye basti ab toD chuki hai hasti ki zanjir-e-giran
aur quyud-e-zaman-o-makan
waqt ke Daku chakkar us ko bisat mutabiq luT chuke
us ke liye mahaul-o-fiza ke sare bandhan TuT chuke
mazi-o-haal bhi chhuT chuke
kaun aae jo aa kar is mein zist ke rang bhare
kheton ko sarsabz kare
gali gali aur kucha kucha panghaT aur chaupal
khelte bachchon hansti jawani se kar de chonchaal
zinda kar de mazi-o-haal
(1503) Peoples Rate This