Be-tahi Yahi Hogi Ye Jahan Kahin Honge
be-tahi yahi hogi ye jahan kahin honge
sath kaTne wale sath-afrin honge
aaftab haT jae jhilmilane wale hi
aasman-e-viran mein raunaq aafrin honge
zindagi manane ko wahm bhi ghanimat hain
hum bhi wahm hi honge wahm agar nahin honge
ye jata diya aaKHir mujh ko mere ajza ne
apne aap mein rahiye warna bas hamin honge
dil mera mudabbir hai band-o-bast-e-alam ka
masale kahin ke hon faisle yahin honge
mere sath aae hain mere sath jaenge
hon jahan qadam mere raste wahin honge
waqt ki sawari par jo ruki hui hogi
fasle karunga tai jo kahin nahin honge
rang-o-nur partaw hain jin ki tab-kari ke
tirgi ke wo jalwe kitne dil-nashin honge
sochiye to sahra hai Dubiye to dariya hai
ek din 'muhib' sahab jis ke tah-nashin honge
(643) Peoples Rate This