Apni Aag Mein Bhunti Jae Bunti Jae Kafan Apna
apni aag mein bhunti jae bunti jae kafan apna
goya isi liye chhoDa hai chingari ne watan apna
jhonke kuchh be-jaan hawa ke aate hain apne-ap chale
jhum uThte hain chaman ke pankhe us ko jaan ke fan apna
KHud-raw sabze chheD rahe hain jangal ke qanun ke rag
kab tak bagh mein paDhwaenge KHutba sarw-o-saman apna
dariya-dil hai sahil mera magar yahan har sail-e-bala
sail hai ki baDha aata hai phailae daman apna
mil to jae apne bhanwar ko dariya ke chakkar se najat
lekin aah agar rah jaun ho kar main hama-tan apna
shama ki lau kya shauq-e-baqa mein shama ko chaTe jati hai
KHud ko tarasti rah jati hai ruh miTa ke badan apna
koi 'muhib' aazurda kyun ho meri talKH-kalami se
apni hi jaanib rahta hai akasr ru-e-suKHan apna
(569) Peoples Rate This